Paayal Wale Panv – Guru Randhawa
Singer | Guru Randhawa |
Music | Sachet-Parampara |
Song Writer | Sayeed Quadri |
Mehendi Wale Haath Lyrics
Mehndi wale hath wo tere
Paayal wale panv
Mehndi wale hath woh tere
Paayal wale panv
Yaad bohat aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Kacchi pagdandi ke raste
Aur neem ki chhaanv
Kacchi pagdandi ke raste
Aur neem ki chhaanv
Yaad bohat aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Mehndi wale hath
Gaanv ka wo talab
Jahaan har roz mila karta tha
Baatein karte karte
Teri choodi bhi ginta tha
Teri bholi baatein sunkar
Aksar main hasta tha
Yaad unhe ab bhi karta hoon
Shehar mein subah sham
Yaad unhe ab bhi karta hoon
Shehar mein subah sham
Yaad bohat aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Mehndi wale hath
Mehndi wale hath
Ho mehndi wale hath
Kya tune ab bhi rakhe hain
Prem ke wo sandes
Pathar bandh ke chhat par
Teri deta tha jo fenk
Yaad mujhe karta hai
Kya tu ab unko dekh
Kya tere honthon ko pata hai
Ab bhi mera naam
Kya tere honthon ko pata hai
Ab bhi mera naam
Yaad bohat aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv
Mehndi wale hath wo tere
Paayal wale panv
Mehndi wale hath wo tere
Paayal wale panv
Yaad bohat aate hain mujhko
Tu aur apna gaanv