Laal Kyun Hai Yeh Aankhein Lyrics – Jubin Nautiyal
Laal Kyun Hai Yeh Aankhein Lyrics Sung by Jubin Nautiyal, featuring Gurmeet Choudhary, Arjun Bijlani & Kashika Kapoor, composed by Rochak Kohli, lyrics are penned by Manoj Muntashir
Singer | Rochak Kohli ft. Jubin Nautiyal |
Music | Rochak Kohli |
Song Writer | Manoj Muntashir |
Dil Pe Zakhm Lyrics
Hasta Hua Yeh Chehra
Bas Nazar Ka Dokha Hai
Tumko Kya Khabar Kaise
Aansuon Ko Roka Hai
Ho Tumko Kya Khabar Kitna
Main Raat Se Darta Hoon
Sau Dard Jaag Uthte Hain
Jab Zamana Sota Hai
Haan Tumpe Ungaliyan Na Uthe
Isliye Gham Uthate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain
Aur Muskurate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain
Aur Muskurate Hain
Kya Bataye Seene Mein
Kis Qadar Dararein Hain
Hum Woh Hai Jo Sheeshon Ko
Tootna Sikhate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain
Log Humse Kehte Hain
Laal Kyun Hai Yeh Aankhein
Kuchh Nasha Kiya Hai Ya
Raat Soye The Kuchh Kam
Haan Log Humse Kehte Hain
Laal Kyun Hai Yeh Aankhein
Kuchh Nasha Kiya Hai Ya
Raat Soye The Kuchh Kam
Kya Bataye Logon Ko
Kaun Hai Jo Samjhega
Raat Rone Ka Dil Tha
Phir Bhi Ro Na Paye Hum
Dastake Nahi Dete
Hum Kabhi Tere Dar Pe
Teri Galiyon Se Hum
Yun Hi Laut Aate Hain
Dil Pe Zakham Khate Hain
Kuchh Samajh Na Aaye
Kuchh Samajh Na Aaye
Hum Chain Kaise Paye
Baarishein Jo Sath Mein Guzri
Bhool Kaise Jaayein
Kaise Chhod De Aakhir
Tujhko Yaad Karna
Tu Jiye Teri Khatir
Ab Hai Kabool Marna
Tere Khat Jala Na Sake
Isliye Dil Jalate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain
Aur Muskurate Hain
Hum Woh Hai Jo Sheeshon Ko
Tootna Sikhate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain
Aur Muskurate Hain
Dil Pe Zakhm Khate Hain