SUPERHIT – EMIWAY BANTAI Lyrics
Singer | EMIWAY BANTAI |
Music | Juankobeatsoff |
Song Writer | EMIWAY BANTAI |
SUPERHIT Lyrics : EMIWAY BANTAI
Uh I’m blessed
I’m healthy
We are doing good
We are the best
Main aur meri public
Sab log ko takleef
Hahaha
Sunn aye
Mujhe de re gaali aur yeh chal re mere he raahon pe
Diss karke khud ka scene badhana chaahte
Hate karega to kaise bharega plate
Mere abba businessman ussi tarha beta bana seth
Bharun plate
Nek reh ke koshish jab kar raha tha saale
Sab door se dekh rahe the
Inke saare views fake hain be
Video shoot ya audio recording
Donon karwane mein deta ek hi take main be
Na laga kabhi break mashallah
Issi tarah chalta raha rahoonga
Mistake se sikhooga main to wake and bake
I’m blessed today
Chhote career bacha le don’t mess with me
Main nahi dene wala mera jagah kisi ko bhi
Messi ki tarah mera flow maare spin
Munh mein mint yes I’m kiss ready
Temprature garam ho raha hai I’m very sweaty
Meri teddy kidhar hai bolegi lady meri
Lady nahi actually woh baby hai meri
May be main marry ni karne wala kyunki
I’m already married music ke sath
Music ke god baithele yahan pe
Musical thought hai yeh
Spot pe fraud karne walon ko caught karte
Gaane baj rahe hard viral ho rahe
Apun bohat phatte
Baaki khatte meethe ban ke ghum
Ban ke ghoom rahe sabke pichhe
Mera sikka hi chalega
Apun superhit hai chal
Apun superhit hai, superhit hai chal
Apun superhit hai, superhit hai chal
Apun superhit hai, superhit hai chal
Chal ae nikal
Haan
Shuru shuru mein lag raha tha
Mujhe main karun rap start
Ghar wale chahte the banun docter
Lekin main smart nahi raha
Padhai ke maamle mein
Sirf dasvin tak achcha padh raha tha
Uske baad dhyan dene kam kiye ghar wale
Unhein lag raha tha main padh raha hoon
Ghar pe baithe audacity pe instrumental jhad raha hoon
Rap kiya record kiya main daala Youtube pe
Dhyan nahi diya maine views pe sirf kaam kiya
Itne saare gaane baahar mere
10 album to daal diya
Ek rapper bata de Bharat se jo dil se kaam kiya
Rap kiya club kiya trap kiya chop kiya
Sab gaane kiya kyunki versatile main
Yeh mera style hai
Yeh chhaape mujhko
Karte khud ka soche inka time hai
Inke gaane jo famous huye beta
Usmein bhi to apne rhyme hai
Haan
Khud karta style mera
Chor bazaar ke kapde pehan ke
Video pe smile mera
Shooting mein paani ke paise nahi hote the
Sign mera karne ka mann ho raha tha
Akela ro raha tha
Mauka nai de raha tha koyi
Par mera tha koyi jo upar se de raha tha dhyan mera
Usi ki mehar se aaj de raha hoon gyan mera
Aye tum log ko mujhe mat roko
Main khule aam shot dene aaya sab log ko
Wtf I missed it, it’s ok
Kabhi kabhi chalta hai
Maaf kiya sabne, aye maaf kiya sabne
Ok ghalti kabool hai
Main bhi insaan hoon
Main bhi insaan hoon
Main bhi insaan hoon
Malum hai na
In log ko kuchh bhi nahi malum hai
Kuchh bhi nahi malum hai kya
Malum hai na Gudiyalal kopche
mein le sabko fatfat
Full form mein lag rela aaj to full
Ek number dete hain aurTere abbu
khadele yahan maidan mein
Rap game mein bole to shaitan hai
Shakal hi hard hai
Pehchan le diss game ke haivan hain
Commercial kaam mein bhi mehnga hai sasta nahi
Kar lete kaam yeh baaki kyunki inhe
Dikhta koyi rasta nahi
Kar lete kaam yeh baaki kyunki inhe
Dikhta koyi rasta nahi
Khud pe bharosa nahi
To tu yahan tak kaise pahuncha
Yeh toone socha nahi
Aye baatein karne baithunga
To har ek baatein lagenge dil mein
Baatein karne baithunga
To har ek baatein lagenge dil mein
Shayar sa lagta hoon kabhi kabhi
Tum bhi to aao mehfil mei ek number aye
Chilla ke gaane ka har kiska bas ka nai
Chilla ke gaane ka apnaich haq hai
Baaki yeh bachkane mic pe thak ke
Gaa rahe mere baare mein doonga be rakh ke
Be-jhijhak ke bolunga mujhe haq hai
Jo bhi mere raaste mein aa raha kha raha dhakke
Main barah warah baje soke uthela hoon bhag be
Main ja raha nahi kahin pe bhi
Sabko doonga phatke
Bohat pade gaane mere pass
Saare rapper ro pade
Sade huye thopde
Thode bohat rokde kama ke dhama ke samjhe khud ko
Kisi pe ungli uthane se pehle tum ruko jhuko
Mera slang chhaape
Khud ka style thoda bohat dusre ka dhape
zindagi ka pata nahi ja rahe hain kahan pe
Yeh marzi ka karte nahi
Rakhele sautele baap hain
Ja baap ki sunn