Tu Phir Se Aana – Raftaar ft Salim Merchant

Tu Phir Se Aana Lyrics - Raftaar ft Salim Merchant

Singer Raftaar ft Salim Merchant
Music Salim Merchant
Song Writer Raftaar and Salim Merchant

Tu phir se aana Lyrics

Bhaar mastakon pe le chale
Jo pustako se door
Panape jis zameen pe
Uss zameen pe maa bhi majdoor
Man se nasht tan pe kasht
Raat khane mein hai choor sang loon
Yeh gareebi ka kasoor

Aur jo noor na banenge
Bacche kood mein milenge
Nasoor se pale jo kaise soorme banenge
Kuch woh phool jo khilenge
Kuch ko school na milenge
Kuch ke paav do chilenge
Chup woh dhool me milenge

Jiske paet mein anaaj na
Woh kis dharam ka hai bhala
Ik bharam mein jeeta wo ki
Kab garam ho ek tawa
Kis karam ki maar hai
Aahar inka bas hawa
Naa milti maa ko ek dava
Pita sava mein gumshuda

Ik dafa socho desh band tha woh chal padi
8 meel pehle ghar se gir ke dharr pe mar padi
Jeeta naam baalika ka jeeti na jo ek kadi
Woh aafan hai ya jal chuki yeh sochta main har ghadi

Tu firse aana muskaan banke
Mere ghar mein chhota mehmaan banke
Tu phir se aana muskaan banke
Aur hass ke jeena meri jaan banke
Banke..

Paet mein aag lagi hai
Par paani bhi toh paas nahi
Chhote hain kadam kaafi
Jawani bhi to paas nahi
Wo thak chuke itna ke
Patri pe hi so jaayein
Par sulane wali
Maa ki kahani bhi to paas nahi

Jo ghar pe hain wo khush hain
Jo road pe wo puchein
Ke ghar ki chhat milegi kab?
Kaha pe jaake lun chain?
Jab maa chhodne aayi thi
To ek din mein pahunche thhe
Ab waapas jaane mein
Mujhko lagre hain din kyun 6?

Ab sab dhundhla lagra
Nahi bachi hai taaqat
Ab so hi jaata hun
Agle janam mein lunga daawat
Bas maa ko batla dena
Ke thoda door hi tha mein
Hawa mein khusbu lele
Milne tak lele raahat

Aur jo kehte hain ke marne par hum
1 lakh denge, maano 16 maut aai
Or ho gaye 16 lakh
Upar shikaayat karunga
Ab vo hisaab lenge
Jo ghar tak chhod dete
To bach jaati 16 laash!

Tu phir se aana